Sabkuch

उद्भव

Kya kuch bhi kaafi hai? Kaisi badmashi hai, socha maine Asaan hai gum ho jaana Mushkil khud ko samjhana Kya tu ek saathi hai mera? Kyu hum jazbaati hain? Maine kaha na, itna kuch baaki hai Abhi toh itna kuch baaki hai Aya hoon iss jag mein jabse, sabkuch hi anjaana hai Jaanu main sabko iss jag se ek na ek din jaana hai Bhaati na ye baatein ab jeena jo dil ne jaana hai Sabkuch hi sunna isko, sabkuch hi isko gaana hai Sabkuch hi isko gaana hai Chaahu zindagi se kuch bhi nahi Jaane kahan main khada, jaana kahin bhi nahi Kitno ki chaine utri hain, kitni biki Jo bhi karu main galat, sahi kuch bhi nahi Kabhi socha na tha sapne bhi hote sach Chhoti chhoti baaton se ye kavita main dunga rach Kuch bhi pata na mujhe, tujhse chhipana mujhe Khud se khafa hai launda khud se hi raha bach Ho raha hai jo bhi aas paas mere hone do So raha hai jo bhi na jagao, bas sone do Sochu main jo keh raha na jaane kya vo sun rahe? Ro raha hoon baitha na bachao, mujhe rone do Duniya sateek, na farak hai bas ghoome gol Meri na chalegi, baat ho jaye na damadol Ghadi ye ajeeb, sabhi ke naseeb, soch voch Zyada na tu, keh rahe hain sab jo, tu vo hi bol Chuda hoon zaroor lekin choda mujhe tumhi ne Saara jag bhool main chhipa baitha hoon mujhi mein Sakta na bhaag, atak raha main bhatak raha hoon yahan Ghoomu roz, dhundhu khud ko main tujhi mein Ghoomu roz, dhundhu khud ko main tujhi mein Kya kuch bhi kaafi hai? Kaisi badmashi hai, socha maine Asaan hai gum ho jaana Mushkil khud ko samjhana Kya tu ek saathi hai mera? Kyu hum jazbaati hain? Maine kaha na, kaafi kuch baaki hai Abhi toh kaafi kuch baaki hai Aya hoon iss jag mein jabse, sabkuch hi anjaana hai Jaanu main sabko iss jag se ek na ek din jaana hai Bhaati na sab baatein ye dil to ab bhi bachkana hai Sabkuch hi sunna isko, sabkuch hi isko gaana hai Sabkuch hi isko gaana hai

Written by: Udbhav AcharyaLyrics © O/B/O DistroKidLyrics Licensed & Provided by LyricFind

Create your own version of your favorite music.

Sing now

Kanto is available on:

google-playapp-storehuawei-store

Related songs